Quran Hujjat Hai Tumhare Haq Me Ya Tumhare Khilaf


Quran Hujjat Hai Tumhare Haq Me Ya Tumhare Khilaf

Mafhoom-e-Hadees: 
                    Abu Malik Ashari (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Puri Tarah Wuzu Karna Emaan Ka Hissa Hai
Aur Alhamdulillah Kahne Se Meezan (Nama-e-Amaal Ka Tarazu) Bhar Jata Hai,
Tasbeeh (SubhanAllah) Aur Takbir (AllahuAkbar) Se Zameen Aur Aasman Bhar Jate Hain,
Namaz Noor Hai Aur Zakaat Daleel Hai,
Sabr Roshni Hai Aur Quran Hujjat Hai Tumhare Haq Me Ya Tumhare Khilaf..”
– (Sunan Ibn Majah, Vol 1, 280-Sahih)

*Quraan Hujjat Hai Se Muraad Roze Qayamat Quran Gawahi Dega Us Shakhs Ke Haq me Jisne Isey padha, Is Se Hidayat Hasil Ki aur Iske Mutabik Zindagi Gujaari,..
Aur Har Us Shakhs Ke Khilaf Bhi Gawahi Dega , Jisne Iska Haq Ada Nahi Kiya, Iski Hidayat Par Gour Nahi Kiya, Aur Isey Nazarandaz karta Raha,..
*Tou beharhaal Hume Chahiye Ke Nuzule Quran ke Asal Maksad Ko Samjhey,
*Iskey Paigaamat Ko Samjhey,
*Iski Hidayat Par Gouro Fikr Karey,..
*IsKi Tilwat Aur Ispar Amal Kare,…
*Iske Tarjume Aur Tafseer Sikhney Sikhane Ki Majlishey Ho,..
In’sha’Allah ul Azeez !!!
# Allah Ta’ala Humey Kahne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufik Dey ,..
# Hum Tamam Ke Liye Quraane Majid Ko Padhna , Samjhna Aur Uspar Amal Karna Aasan Farmaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Post a Comment

0 Comments