Allah Par Mukammal Tawakkul Ki Fazilat


Allah Par Mukammal Tawakkul Ki Fazilat

 Mafhoom-e-Hadees:                                            
                                                                           Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai Ki –
“Agar Tum Allah Ta’ala Per Aisa Tawakkul Karo Jaisa Karne Ka Haq Hai,
Tou Woh Tumhe Iss Tarah Rizq Ata Farmaega, Jis Tarah Parindon Ko Ata Farmata Hai Ke
Woh Subah Khali Pait Jate Hain Aur Shaam Ko Pait Bhar Ker Palat’te Hain..”
– (Tirmizi Sharif)

# Yaad Rahe Bohot Se Log Tawakkul Ke Talluk se Ek Galatfehmi me Pad Jatey hai ke –
“Agar Allah Par Tawakkul Rakhe Tou Rizq Mil jayega Fir Mehnat Ki Jarurat hi Nahi,..” SubhanAllah..
Jabki Hadees me Saaf Bayan Farmaya Gaya Ke “Parinde Apne Gharo Se Khaali Pait nikaltey Hai”
Yaani Wo Apne Ghoslo Me Baithkar Tawakkul nahi Karte ,.. Balki Rizq Paane Ke Liye Koshish aur Mehnat Karte hai..
Tou Beharhaal Hum Insano Ko Bhi Chahiye ke Allah Par Tawakkul Rakhtey Hue Koshish Karey ,..

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
# Allah Rabbul Izzat Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufeeq Dey ,….
# Hume Deen Ka Sahi Ilm Hasil Karne Aiur Uspey Amal Ki Taufeeq Dey ,…
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey …
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Post a Comment

0 Comments