* Daily Hadees*
Imaan ke baareme Ahadees
Hajarat abu huraira(R.A) se riwayat hai ki Rasoole kareem (sallallaho alaihi wa sallam) ne farmaya Jab bandda jina karta hai to imaan us ke jism se nikal kar sar par sayeki tarah kaayam rahta hai aur jab wo is amle-bad se farig ho jata hai to imaan wapas chala aata hai. (Tirmiji, Abudawood)
Hadees;
Hajrat Abdulla Bin Abbas (R.A) se riwayat hai farmaya Rasoole kareem (sallallaho alaihi wa sallam) ne kaatil jis waqt kisi ko katl karta hai momin nahi rahta.
Hadees;
Ek shaks ne abdulla bin abbas (R.A) se poocha ki imaan kis tarah logonke dilon se nikaal liya jata hai ibne abbas (R.A) ne apni ungliyon me ungliyan daal kar kinch kar bataya aur farmaya is tarah imaan kinch liya jata hai uske baad ibne abbas (R.A) ne farmaya jab aadmi gunaah se touba kar leta hai to usi tarah imaan dilon me waapis chala jata hai (Bukhari)
Apne dosto me share kare
0 Comments