O Koun hain jo jannat me daakil honge (Hadees)

*Daily Hadees*

Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Meri saari ummat jannat mein jaayegi siwaaye unlogon ke jo inkaar kardein. Sahaba Raziyallahu Anhum ne daryaaft kiya: Ya Rasulullah! (Jannat mein jaane se) kaun inkaar kar sakta hai? Aapﷺ ne jawaab mein irshaad farmaaya: Jis ne meri ita'at ki woh jannat mein daakhil hua aur jis ne meri nafarmani ki yaqeenan usne jannat mein jaane se inkar kar diya. (Bukhari: 7280)

Post a Comment

0 Comments