Allah ke najadik sabse afjal amal kay hai (Hadees)

                                                      
                        
Jikra-e-ilaahi jihaad se afjal hai;
Hadees;
               Hajrat abu saeed(R.A) se riwayat hai ke Rasoole kareem (sallalao alaihi wa sallam) se daryaapt kiya gaya ke Hujoor  (sallalao alaihi wa sallam) Allah ke banddo me afjal-wa-arafa darja rakne wala koun hai?. Hujoor  (sallalao alaihi wa sallam) ne farmaya  wo loog afjal-wa-arafa darja rakte hain jo (khusu wa kuju ke sath) kasrat se Allah ka jikra karte hain. Sawal kiya gaya ke     Hujoor  (sallalao alaihi wa sallam) kay wo jihaad karne walon se afjal hain?   Hujoor  (sallalao alaihi wa sallam) ne farmaya beshak.   (Mishkaat)


Is Hadees se pata chala ki jihaad se bi afjal amal Allah ka jikra hai.( yaani Allah ke najdeek sabse afjal amal Allah ka jikra hai.)

Jikra-e-ilaahi se dil saaf ho jaat hai
Hadees; 
             Hajrat abdullah ibne umar(R.A) riwayat hai ki farmaya  Rasoole kareem (sallalao alaihi wa sallam) ki har shai ko saaf karnewali kuch Chijen  hain Aur dilon ko saaf karnewali cheej Allah ka jikra hai. (Mishkaat)

Apne dostopn Me share kare,

Post a Comment

0 Comments