Salaam karo aur khana kilao;
Hadees;
Rasoole kareem(sallallao alaihi wa sallam)se logon ne pucha ke kounsa islam ka kaam bahoot achha hai. aapne farmaya gharibon ko khana kilaana aur wakif aur naa wakif sabko salaam karna. (Abu dawood,Bukhari)
Choton ko bi salaam kar liya karo;
Hadees;
Hajrat anas (R.A) se riwayat hai ki wo ladkon ke pass se gujare aur unhone salaam kiya aur kaha ki ye Rasoolallah (sallallao alaihi wa sallam) ki aadat ti yaani aap choton ko bi salaam kiya kartete
(Bukhari, Muslim, Abu dawood ,tirmiji,)
Aurton ko bi salaam kiya karo;
Hadees;
Aasma bintte yazid (R.A) kahti hain hum chand aurton ke pass se Rasoole kareem(sallallao alaihi wa sallam) ka gujar huwa Appne hame salaam kiya (Abu dawood, Tirmiji)
Apne doston me share kare

0 Comments