Jaanwaron Aur Keede Makhodon ko takleef na de

      


                                                                                  Hadees

Hajarat abdurrahman bin abdulla riwayat karten hain ke unke waalid ne bayaan kiya ke mai aur chand dusare shaks Rasoolalla (salallao alaihi wa salaam) ke saath safar me the.  Hamne ek farindda jise hum laal kahte hain deka uske saath do(2) bachhe te, Jo hamne pakad liya. Wo   farindda betaab hokar tadaf ne laga. Itane me Aap salallao alaihi wa sallam tashrif le aaye. Farmaaya kis ne iske bachhe pakadkar taklif di hai. Iske bachhe    chod do. Aur ek chutiyon ka bil dekha jise hamne aag laga di. Farmaaya ye kisne jala diya hai. Hamne arj kiya ke hum ne aisa kiya hai. Farmaaya ye hargiz shayan nahi, ke aag ke maalik(Allah) ke siwa koi kisi ko aag se azaab de. (Abu Dawood).

Iss Hadees se pata chala ki koi Bi jaandaar cheej ko jaabooj kar takleef na de. 
Apne doston me share kare


Post a Comment

0 Comments