*Daily Hadees*
1 Ramazan ke baad Sabse Afzal Roze
Allah ke mahine “Muharram” ke hain
Aur Farz Namaz ke baad sabse afzal
Namaz raat ki Namaz hai
2) Jo Admi Ashura ke Din apne ghar walon pr khoob kharch karega to Allah Rabbul Izzat saal bhar uske maal me barkat dega.
Is hadees ki sanad me ek haesam naam ka rawi hai jo zaeef hai.
Imaam baehaqi ne kaha ki iski saari sanaden Zaeef hain.
3)Jo Admi Ashura ke Din Ismid ka surma lgaye ga vo kabhi
andha nhi hoga.
Iski Sanad me Juaebir naam ka ek raavi hai vo zaeef hai.
Hafiz Ibn Hajar Kahte hain ye wahiyaat sanad hai.
Imaam Sakhawi kahte hain ye hadees Munghadhat hai.

0 Comments