Baitulkhala ki sunnatein
- Sar dhank kar jaana (sunan-e-kubra)
- Joota,chappal pahnkar jana (sunan-e-kubra)
- Dua padkar anddar jaana. (Bukhari) Dua(Bismillahi allahumma inni aojubika minal khubusi wal khabaais).
- Pehle Baayaan paaon andar rakhna (Bhukari 426)
- Qibla ki taraf na muh karna na peeth karna (Abudawood 8 )
- Bilkul Baat na karna (Abudawood 15)
- Khade hokar peshab na karna (ibn-e-maaja)
- Baayein haath se istinja karna ( Bukhari 154)
- Istinja ke baad mitti ya saboon wagaira se achhi tarah haath dholena (Abu dawood 45)
- Daayein paaon se baahar aana (Bhukari 426)
- Baahar aane ke baad dua padna (Ibn-e-maaja) Dua;(Ghufraanaka alhamdulilla hillaji ajahaba annil azza wa aafaanee)
Apane Doston me share kare

0 Comments